Saturday, September 19, 2009

Wo bhee ek daurr tha...

jab kabhi dil dil se takraya hai
dil ke tutne ka wo daurr yad aaya hai
bikhre tukdon ko jab sameta

wohi kamsin nazar aaya hai
jab kabhi dil dil se takraya hai
lakh minnato se jo na mana tha

uska bholapan yad aaya hai
jab kabhi dil dil se takraya hai
kitna manga tha usko khuda se bhee

sajda wo bhi kam na aaya hai
jab kabhi dil dil se takraya hai
jab kabhi dil dil se takraya hai

dil ke tutne ka wo daurr yad aaya hai

Sandip

No comments: